Tuesday 8 July 2014

Sansad Me Aurte 50% Honi Chahiye

Bharat me Aurto ki sankhya chahe 48% ho ya 50%, unhe 50% aarakshan milna chahiye. Aurto ke sath anek prakar ke apraadh aur annaay ho rahe hae, jise qabu me nahi laya jaa paa raha hae.
Bharat Samuhik Balatkar, Balatkar, Tezab ke Hamle, Chherd Chhard, Bhed Bhao, Mahila Bhrunrd Hatya itya adi se junj raha hae. Ek saonwedan shil samadhan yehi ho sakta hae ke aurto ka pratinidhhitwa  unke anupaat (naisargik aur jaiwik anupaat) ke anusar Sansad me ho (Lok Sabha aur Rajya Sabha me), Prantho ki Vidhan Sabhao aur Vidhan Parishado me bhi.
Parantu, kuch hi aurte warsho tak sansad me pratinidhitwa karti rehti hae, wastao me samasya yehi hae, ke ye aurte hokar bhi aurto ke prati saonwedan shil nahi hae.
Ham 33% aarakshan aurto ko diye jane ke liye tayyar hae, iske niyam bhi pehle se hi sthapit kiye ja chuke hae. Lekin yeh 17% aarakshan aesa ho ke jo aurte ek baar is quota se aarakshit ki gayi hae unhe dusri baar is quota se aarakhshit na kiya jaye. Wo aurte jo 17% quota se pehle aarakhit ki jaa chuki ho, agar wo chahe, to dusri baar ke liye baki 33% quota se nirwachit ho sakti ho.
Kisi bhi sthiti me aurte Sansad me 50% se zyada nahi honi chahiye, kyuke ye anaisargik hoga.


In English:  Women In Parliament Should Have 50% Seats  

No comments:

Post a Comment