Tuesday 11 August 2015

Bhartiya Sansad Aur Vidhan Sabhao me Naujawan

Agar hum Bhartiya Sansad aur Vidhan Sabhao ko dhyan se dekhe to hum ye keh sakte hae ke Bhartiya Sansad aur Vidhan Sabhaye buddho se bhari hui hae. Aesa lagta hae ke agar aap 75 warsh ke niche hae to aap Bhartiya Sansad aur Vidhan Sabhao me bachche hae. Ye ek dharna ban chuki hae ke pratinidhitwa aur mantripad sirf un logo ke liye hota hae jo 75 warsh ke upar hae.

Bharat ke Shasanik vibhag (Executive) me retirement 55-60 saal ki umr me hota hae, jiska matlab ye hae ke karmchari ki upyogita is umr ke baad khatm ho jati hae.  Ye bhi samajh liya jata hae ke karmchari bimariyo se bhi pareshan hoga, jiski waja se wo adhik upyogi nahi reh payega. Aesa koi qanun nahi hae, lekin yehi mana jata hae. Ek aur wajah ye bhi hoti hae ke naujawano ko bhi mauqa diya ja sake. Bhartiya Adalate bhi isi niyam par chalti hae.
Upar ke dono paragraphs ko amne samne rakha jaye to yehi pata chalta hae ke dono baate ek dusre ke bilkul ulat hae, ek taraf Bhartiya Nyayalay aur Executive aur dusri taraf Sansand aur Vidhan Sahaye. Isse ye sabit ho jata hae ke Bharat ke naujawano ka pratinidhitwa naujawan nahi kar rahe hae. Agar aurto ka pratinidhitwa sirf aurte hi kar sakti hae, dalito ka pratinidhitwa sirf dalit hi kar sakte hae, anglo-indian ka pratinidhitwa sirf anglo Indian hi kar sakte hae, fir, naujawano ka pratinodhitwa sattar assi saal ke log kyu karte hae, jinke saath inka umr me bhi boht antar hota hae?
Bharat ki Jansankhya ki banawat se tay hae ke Bharat ke adhiktar log naujawan hae, par kya naujawan log Bharat ke Sansad aur Vidhan Sabhao me apni jansankhya ke hisab se barabar dikhayi dete hae? Naujawan hi Bharat ka asal chehra hae, naye daur ke hisab se inke apni samasyaye hae. Naujawan hi badalte hue Bharat ki taswir hae. Naujawan biite hue kal aur aane wale kal ke bich ek pul ki tarha hae. Inki samasyaye inki soch inki raai sahi tariqe se naujawan hi samajh sakte hae.
Isi liye Bharat ke Sansad aur Vidhan Sabhao me Naujawano ko unki jansankhya ke hisab se nirwachit hone ka mauqa milna chahiye. Naujawano ki sankhya Sansad aur Vidhan Sabhao me badhayi jaaye aur sattar aur assi warsh se adhik aayu wale sansado ki sankhya kam ki jaaye. Bharat ka Sanvidhan Saansad hone ki umr kam se kam pacchis saal batata hae, Sanvidhan ko banane wale hamare rashtriya netao ne ek gatisheel gantantra ka sapna dekha tha, rudhiwaadi, bimar aur thake hue gantantra ka sapna nahi dekha tha!
Mae ye samajhta hu ke pratinidhitwa karna aur mantripad sambhalna both bada aur zimmedari wala kaam hae, jo ke aksar naujawan sahi tarike se nahi kar payenge kyuke inke paas shasan karne ka kattar anubhao nahi hota hae. Mae ye bhi samajhta hu ke sattar aur assi se adhik umar ke saansad diwar me jade hue stambh ki tarha hote hae jo diwar ko mazbuti dete hae, par aesi diwar ki kalpana karna jo sirf stambh se bani ho aur inte lagi hi na ho pagalpan hoga, both sari into ki zarurat padti hae stambho ke bich, Naujwan hi inte hoti hae!
Naujwano ke paas gatishilta aur akansha hoti hae, par videshi taqate inko apni chaalo me asaani se phansa sakti hae, ye hamare naujawan saansado ko Bharat ke khilaf hi shatranj ke mohro ki tarha istemal kar sakte hae. Isi waja se mae yehi kahunga ke sirf taiyyar kiye gaye naujawano ko jo shasan ki kattar padditi ko samajh sake inhi naujawano ko Bharat ke Sansad aur Vidhan Sabhao me nirwachit kiya jaaye, aese naujwano ko na bheja jaye jo jawani ke prabhao me sirf apni niji khwahisho ke liye hi jiite hae.

Isi liye, Mae chahta hu ke jo naujawan IAS ki pariksha paas kar chuke ho lekin IAS ke liye chune na gaye ho, aese logo ko chunao ke liye ticket diya jana chahiye, jo ke aage chal kar Sansad me Lok Sabha me baith sake. Isi tarha se pradesho ki civil services ki parikshao me jo paas ho chuke ho lekin chune na gaye ho in logo ko vidhan sabhao ke chunao ke liye ticket diye jane chahiye, sath hi aese hi logo ko Sansad ki Rajya Sabha me bheja jana chahiye. Is niti ko tab tak lagu rakha jaye jab tak ke hamara Sansad aur hamari Vidhan Sabhaye hamare desh aur pradesho ki jansankhya ki banawat ka ek chota sa magar sahi roop na ban jaye.
Mujhe ye bhi lagta hae, ke dusre aarakhshan bhi Sansad Aur Vidhan Sabhao me hone chahiye, jansankiya banawat ke hisab se (Nar-Naari), (Dehati-Shahri), (Prathmik, Madhyamik, Trutiya shreni ke mazdur), (Niryatak-Aayatak), (Doctorate dharak) aadi. Bhartiya Nirwachan aayog ko iska vishleshan karna chahiye ke kitni seato ko aarakshit kiya jaye doctoro, Engineero, wakilo, mazduro, shikshako, kisano, vaegyaniko, retired raksha/police/nyayala ke logo, machero, aayatak, niryatak, adivasi, (bachcho/jangalo/ janwaro/ pradushan aur anya vishayo) par kam karne wale samajik karya kartao, itihaskaro, vastukaro, khiladiyo (Olympic aur aadi medallist) ke liye.
Bharat dharm nirpeksh rashtra hae, is liye saral dharmik arakshan sahi nahi hoga, saath iske ghalat parinam honge, isi liye dusre kisi aur tariqe se dharmik banawat ke pratinidhitwa ko samyojit kiya jana chahiye.

Jab Bharat ka Sansad aur Vidhan Sabhaye hamari jansankhya ka chhota sa roop ban jayengi tab hum sahi dhang se ek kamiyab, sahi aur fal dene wale jantantra ko pa sakenge. Bharat ke Sansad me naujawano ka arakshan hi hamare sapne ki taraf ek niu ka patthar saabit hoga.

In English: Youths ln Indian Parliament And Assemblies

No comments:

Post a Comment