Friday 31 July 2015

Bharat me mrityudand ko khatm kiya jaaye

Bharat me, yadi koi vyakti kisi dusre vyakti ki hatya karta hae, aur atyant asaadhaaran paristhiti me karta hae tou ose mrityudand diya jaata hae. Atyant asaadharan sthiti ka pata kaese chale ga ye baat abhi tak aspasht hae. Sabuto ke aadhar par nyaydhish tay karte hae ke asaadhaaran sthti thi ya nahi.

Kya Maanauta, hamara sanvidhan aur hamari buddhi har manushya ko samaan nahi maanti? Ye badi betuki baat ho jati hae ke agar koi vyakti kisi dusre ko atyant asaadhaaran paristhiti me maare tou ose marityudand milega, iska matlab, ke agar koi kisi ko saadhaaran paristhiti me maare to ose aajivan kaarawaas milega. kya hum ye kehna nahi chah rahe hae ke saamaan paristhiti me kisi ka jivan khatam kar dena utna bura nahi hota jitna ke asaadhaaran parsithiti me khatam karna hota hae?

Mrityudand ke baad bhi, hamaare yeha daya yaachika, rog niwarak yaachika ka paravidhaan hae, jisme yadi do vyaktiyou ne atyant asaadhaaran paristhitio me hatyaaye ki bhi hae, tab bhi, ek ko aajivan kaaraawaas mil sakta hae parantu dusre ka mrityudand badla nahi jaata, ye betuki baat nahi hae? Hatyaare ka swaasth uski badhti hui umar uske mrityudand ke aade aati hae, iska matlab agar koi yuwa kisi ki atyant asaadharan sthti me hatya kare tou ose mrityudand milna aawashyak hae parantu koi budhha hatya kare to ose mrityudand nahi hona chaahiye. Kya naari ke hatho mrityu ho jaana chhoti si baat hae aur mard ke hatho mrityu ho jaana badi baat hae? kitni betuki baat hae ke hamara qanun ye sab dekhta hae.

Daya yaachika me bhi, yadi daya yachika sirf aur sirf Rashtrapati ka kaam hota hae, to usme fir rastrapati sarkaar se ray kyu lete hae? Sarkaar ant me tou ek raajinitik dal hi hota hae jiski ek apni vote bank hoti hae, fir tou sarkaar apne raajnitik virodhi doshi ke liye mrityudand ka hi sujhaao karegi na. Hum raajnitik dalou ko daya yaachika me kyu shaamil karte hae? Mae jaanta hu ke wo Sarkaar hae, rajnitik dal nahi, par sarkaare raajtik dalou se hi banti hae.

Bharat me iske raajnitik parik-vashya ko dekhte hue yeha se mrityudand khatam kar dena chaahiye. Boht saare deshou me mrityudand ko khatm hi kar diya gaya hae, aur waha jaghanya apraadho ke aakde bhi Bharat se kam hae. Bharat me aksar tou log is liye bhi hatya karte hae kyuke unke saath anyaay hua hota hae, sabuto aur gawaaho ke saath ched chaad Bharat me ek aam baat hae, nyaay atyant dhimagati se praapt hota hae. Kisi ko dand dena taake dusre dar kar apraadh naa kare ye ek betuki baat hae, ye tou kisi ek vyakti ko is liye bali ka barka bana dena hae taake dusre apraadh na kare, ye sab soch puraani mansikta hae.

Hume iske ulat, hamare desh ki nyaay pranaali ko tez karna hoga, hume rishwatkhori ke khilaaf qadam uthaane honge, hume raajnitik dalo dwara sampradaayikta ko khtam karna hoga; hume alp-sankhyak dharm aur sanskruti ki raksha karni hogi. Kisi par bhi kisi dusre dharm, sanskruti ya bhaasha ko thopne se bachna hoga, police shikayat aur nyaay yaachika ko saral banana hoga; aur mrityudand ko khatm karke aajivan kaarawaas ka pravadhan lana hoga. Bharat ke raajnitik dal aur media atyant hi sadist (pidan kaamuk/ kisi ki pida se adand uthana) ho chuki hae, mrityudand se inhe kitne aanand ka aabhaas hone laga hae, we kya kya prakaashit karte hae, ke mrityu kaese hoti hae, rassio ka bhaar kitna hota hae, jallaad faansi kaese deta hae ityaadi, sirf is liye taake vote bank ki raajniti ki jaa sake ya sasti TRP praapt ki jaa sake.


Angrezi me: Death Sentences should be abolished in India  



No comments:

Post a Comment