Thursday 24 January 2013

26 January ki parade ko khatam kiya jaaye!


26th January ko hamara sanwidhan/ aayin lagu hua tha 1950 me. Hamara qanun hamari ummid hae, wo hume aage badhne aur apni manzil pane ke liye jagata hae, ye manzil sirf aur sirf India aur uske logo ka har tarah ka development hi hae.

Qanun sirf isi liye lagu kiya gaya ke hum apni manzil pata kare aur ose hasil karne ke liye aage badhe. 26 january 1950 both bada din tha aur uski khushiya manana bhi zaruri tha. Par hum aaj kis baat ki khushiya manate hae parade nikal kar? Kya hume apni manzil mil gayi? Kya hum sahi direction me chal rahe hae, kya humko jitna safar tay karna tha kar liya? Agar nahi to phir hume ye mehengi parade kyu organize karni chahiye?


Constitution me kahi bhi nahi likha hae ke 26 january ko mehengi parade nikalna fundamental duty hae! Hume Honourable Supreme court se appeal karni chahiye ke wo constitution ke provisions ke sahi meanings bataye aur ye tay kare ke kya mehengi parades constitution ke hisaab aur time ki zarurat ke hisaab in dono ke hisab se sahi hae?

Boht zyada paisa kharch kiya jaata hae aur both sari security ka bandobast karna padhta hae jiska kharch bhi kaafi hota hae sirf do/ tin ghante ki parade par, jise ab log DD Channel par dekhte bhi nahi hae, ye sab sahi nahi hae, tab jabke hamara mulk dusre mulko se both piche hae, jaise ke: GDP, GNP, HDI, Gini waghaera ke ranks me.

Sirf ek riwaaj bana kar itna celebration karna sahi nahi hae, jabke hamare samne both lamba rasta abhi tay karna baqi hae, aur hum pehle hi both piche rahe hae 1950 se le kar aaj tak. Dusre mulk bhi mehengi parade nikalte hae aur unke paas bhi apni serious problem hoti hae. Hamari parade to unke barabar ki hoti hae par kya unke problems hamare problems ke barabar hae?

Kaash koi aesi sarkar aaye jo parade ko khatam kare jisme boht paisa saath hi saath uski security par bhi both paisa kharch ho jata hae, jisse aam Indian ki life bhi nahi sudharti. 1950 se aaj tak hume kaha pohoch jana chahiye tha aur hum kaha reh gaye, ab hamare liye aesi parade par kharcha karna band kar dena hi sahi hae.

Kaash koi aesi sarkar aaye jo is natije par pohche ke hume saal dar saal bade bade developments gift dene chahiye Mulk ke logo ko naaki parade. Kaash koi aesi sarkar aaye jo is natije par pohch sake ke itni zyada daulat sirf parade ke upar aur uski security ke upar kharch karne se acha developments par kharch ki jaye to jo manzil India ka Qanun batata hae uski taraf ek acha qadam hoga.

Kaash koi aesi sarkar aaye jo hume apne time ke best hospitals bana kar dey sake wo bhi mulk ke pichde hue ilaqo me jaese ke North East India, Republic day ke gift me saal dar saal. Kaash koi aesi sarkar aaye jo best medical, engineering, IT, agricultural, law colleges aur universities bana kar dete rahe Republic day gift me saal dar saal.

Kaash koi aesi sarkar aaye jo power stations, airports, sea ports, manufacturing zones aur corporate parks banaye, koi aesi sarkar jo naye naye highways, railways, stations gifts dey Republic day ke din. Kisi bhuke insaan ko uski birthday ke din phugge aur patahko ka gift nahi chahiye hota hae ose roti chahiye hoti hae, bhuke insaan ke liye roti se acha birthday gift ho hi nahi sakta.

Kaash koi aesi sarkar ho jo ye samjhe ke zarurat se zyada development sirf bade shehro me hi karte rahne se bade shehro ki aabaadi badh jaati hae, aur ye bhi samajh sake ke development agar pichde ilaqo me kiye jaye to pore India ka development ho sakega.

Bolna boht aasan hae, par itna paisa aayega kaha se? Jo paisa mehengi parade aur parade ki security par kharch kiya jata hae ose development me liya jaa sakta hae. Koi keh sakta hae ke jis development ki baat ki jaa rahi hae osse both sasta hi hota hae ye parade nikal lena, magar jitne paiso me ye parade nikali jati hai aur unki security ki jati hae utne paiso me jitna development ho sakta hae utna to kiya jaa sakta hae. Yaqinan sirf das saal tak, saal dar saal agar hum aesa karne me qamyaab ho gaye to India ek alag hi mulk ban jaaye ga.

Apne hi mulk me apna ki jhanda lagana koi mehenga kaam nahi hae. Ek simple function me President aur Governors Jhanda faeraye to ye both achi baat hogi aese waqt me jab humare samne boht se zaruri kaam karne abhi tak baqi hi hae.

Kaash koi aesi sarkar aaye jo aesa kuch soch sake. 

In English: Put an end to 26th January’s Republic Day parade!


1 comment: