Har Bharat wasi ye both acchi tarike se jaanta hai ke hamare neta, hamare jan partinidhi aur mantri kitne amir hote hae, abjopati karodopati. Hamare zyadatar jan pratinidhi to garib gharo se aate hae. Magar jab ye apni sampatti ghoshit karte hae to wo karodo abjo ki hoti hae.
Jo log rajniti me nahi hae aur vyapar karte hae, ya wo jo log vyapari shetr se kisi na kisi tariqe se jude hue hae, khub jante hae ke munafa kamana kitna mushkil hota hae. Nuksan hota hae, paisa dub jata hae, mandi aa jati hae, tangi aa jati hae aur musibate bhi hoti hae.
Lekin, jab hamare neta jo ke garib gharano se aaye hue hote hae, jab ye rajniti me aate hae, jan pratinidhi aur mantri bante hae, ye log ek kaam karte hae. Rajniti ke sath hi ye log apna niji vyausay bhi shuru kar dete hae, inke vyapar thekedari ka hota hae. Inka ye niji vyausay itna acha chalaya jata hae ke sare ke sare theke inko hi milne lagte hae, inke vyausay ko kabhi mandi, tangi ya aadi ka samna nahi karna padta hae. Inka vyausay hamare kattar vyapari aur karobari ko bhi nicha dikha deta hae.
Ek chiz to bilkul saaf hae, ye vyausay sirf naam ke liye hota hae, asli kaam to ghaple karna hota hae. Nahi to koi garib ghar se aane wala, jiske dil me jan seva basi ho kabhi itni kamayi dikha hi nahi sakta, hazar taka munafa, khas taur se tab jab ke inko vyapari duniya ka anubhau bhi na ho.
Ghaplo se nipatne me Bharat ki sabse badi samasya ye hae ke aese apradhi log hi hamare qanun banana ke liye baithe hue hae, jo kabhi aesa qanun nahi banayenge jisse ghaplo ko roka ja sake. Ye election ka samay hae; hume utsahit kiya jata hae ke hum vote de. Bharitya matdata ko aese qanun ki mang karni chahiye.
Ek aesa qanun hona chahiye jo niyojit kare ke ek jan pratinidhi ya mantri adhik se adhik kitni sampatti rakh sakta hae. Adhik se adhik daulat chahe wo kisi bhi roop me ho isko maryadit kar diya jana chahiye, jaese ke, kisi bhi roop me do ya panch crore se zyada sampatti nahi rakh sakta ho.
Aese qanun ka dusra praudhan ye hona chaiye ke jis bhi samay kisi bhi jan pratinidhi ya mantri ki sampatti adhiktam tay ki hui sampatti se zyada ho jaye tou usko fauran apne pad se istefa dena hoga. Mere ek dusre blog me maene netao ki niji sampatti ki accounting aur uski ghoshna badi companies ki tarha hi ho aesi baat kahi thi: 'Financial Accounting Be Mandatory for MPs, MLAs'. Aesi halat me hamari rajniti daulat ki nazro se akarshak nahi rah payegi; apradhi log rajiniti me ana band kar denge aur sirf wohi log rajniti me ayenge jike dilo ma jan seva ki sacchi bhavna hogi.
Lekin hamari musibat ye hae ke kayi sare haramzade Bhartiya rajniti me bhare pade hae, jo hamare qanun banne me hissa lete hae, ye kabhi nahi chahenge ke rajniti daulat kamane ki nazar se akarshit na reh jaye. Phir bhi, mae ye kahunga ke janta ke paas ye taqat hae, aur hum kam se kam aesi mang ke sath to is karya ki shuruwat kar sakte hae.
Mae Bharat ke matdata se vinti karta hu ke wo apna qimti mat aese logo ko na de jo inke vichar me aaye se adhik sampatti rakhte ho.
In English: Maximum Assets Limit Upon Indian Politicians
In English: Maximum Assets Limit Upon Indian Politicians
No comments:
Post a Comment