Tuesday, 16 April 2013

Rashtriya Bhojanalay Program

Garibi Bharat ki sabse badi samasya hae. Garibi ka sabse bada chehra hae Bhukmari aur Kuposhan. Bharat ke pichde hue gawu aur pichde hue dehati ilako me ye bhukmari aur kuposhan ki samasya bohot bhayankar ho chuki hae.

Mae Bharat sarkar aur saare pradesho ki sarkaro ko ye sujhao dena chahta hu ke wo ‘Rashtriya Bhojanalay Program’ pichde hue gawu aur pichde hue dehato me shuru kare. Is program ke anusar, koi ek rashtriya karyalay (jaese ke: paathshala) ek nirmit jaga ka bhojanalay, nirmit godaam, nirmit jaga jitni rasoi, nirmit saamaan aur nirmit adhikari ke samoh ka prabandh kare, saath hi pine ke pani ka prabandh bhi kare.

Naahi ‘Rashtriya Bhojanalay’ aur naahi is Program ko kisi neta ke naam par ya aesa hi koi naam par chalaya jaaye. Sirf ‘Rashtriya Bhojanalay Program’ aur ‘Rashtriya Bhojanalay’ kaha jaaye.

Bhojanalay me din me do baar bhojan/ khane ka prabandh kiya jaye, koi bhi insan/ wyaqti jo bhi aana chahe bhojanalay me. Bhojan/ Khana muft me prapt karwaya jaaye, beghair kisi rok tok ya beghair kisi aarakhshan ke. Rehwasi aur aane wala koi bhi yaatri ‘Rashtriya Bhojanalay’ me aakar muft bhojan/ khane ka laabh utha sakta ho.

Bhojan/ Khana niyamit wazan, niyamit poshan ka ho.

Bhojan/ Khana adhik hi saadha ho, yaad rahe ke yeha sirf bhukmari aur kuposhan ki samasya se nipatne ki koshish ki jaa rahi hae. Bhojan/ Khana shudh shakahaari ho, taakey koi bhi bhuka insan/ wyaqti kisi dharmic aastha ko thes pochaye beghair hi aakar bhojan kar sake. Saath hi pine ke pani ki wyawastha ka prabandh bhi muft ho.

Bhojan/ Khana kha kar phek dene wali pleto me diya jaaye, ya to koi recyclable plate aur glass me. Bhojan sirf bhojanalay me hi diya jaaye aur ghar pochchane ki wyawastha naa ho. Sirf koi khaas wajah se khana ghar bheja jaye (adhik apahij ya adhik budha). Bhojan/ Khane ka samay 3 ghante lamba ho dono samay par; dopahar 12 baje se lekar 3 baje tak aur raat ko 7 baje se lekar 9 baje tak. Kisi bhi tarike ki pehchan ya panjikaran zaruri naa ho, sirf aao aur khana khao niiti ho. Ek baar phir bhojan/ khana shudh shakahaari ho, saadha ho aur poshak ho saath hi pine ka paani ho.

Bharat Sarkar shuruwati daur me 100 adhik pichde hue gaawu aur adhik pichde hue dehato me aese ‘Rashtriya Bhojanalay’ khole. Bhojanalay is tarike ke khole jaaye ke Bharat ke naqshe par ek saman duri par phaele hue ho aur poore Bharat me phaele hue dikhayi de. Pradesh ki sarkare bhi shuruwati daur me apne apne pradesho me 50 Bhojanalay (naam Raskhtra bhojanalay hi ho) khole apne adhik pichde hue gaawo me aur adhik pichde hue dehato me, par us jaga nahi jaha Kendra Sarkar ka Rashtriya Bhojanalay pehle se khula ho. Ek jaga aur ek ‘Rashtriya Bhojanaalay’ ki niiti ho. Is tarah Rashtriya Bhojanalay ka jaal desh bhar me phael jayega.

Rashtriya Bhojanalay sidhe Majistrate key ya unke samaan kisi aur adhikari ke haath ke andar ho. Ek se zyada jaanch agensiya unki dekh rekh par lagayi jaye, jo is baat ka khayal rakh sake ke Bhojanalay Qanun ke hisaab se chal rahe hae. Prasaaran (Akhbaar aur TV channels) ka bhi sahyog liya jaaye unki dekh rekh me.


In English: National Restaurants Program


1 comment:

  1. Travofood provides you fresh, healthy & delicious food in train. Travofood is an online food platform, on which you can place your favorite food in train like- veg food in train, nonveg food in train, jain food in train, spicy food in train & chinese food in train with the very reasonable price in India.
    #travofood #foodintrain #vegfoodintrain #nonvegfoodintrain #jainfoodintrain #onlinefoodintrain #orderfoodonline #IRCTC

    ReplyDelete