26th January ko hamara sanwidhan/ aayin lagu hua tha
1950 me. Hamara qanun hamari ummid hae, wo hume aage badhne aur apni manzil
pane ke liye jagata hae, ye manzil sirf aur sirf India aur uske logo ka har
tarah ka development hi hae.
Qanun sirf isi liye lagu kiya gaya ke hum apni manzil pata
kare aur ose hasil karne ke liye aage badhe. 26 january 1950 both bada din tha aur
uski khushiya manana bhi zaruri tha. Par hum aaj kis baat ki khushiya manate
hae parade nikal kar? Kya hume apni manzil mil gayi? Kya hum sahi direction me
chal rahe hae, kya humko jitna safar tay karna tha kar liya? Agar nahi to phir
hume ye mehengi parade kyu organize karni chahiye?
Constitution me kahi bhi nahi likha hae ke 26 january
ko mehengi parade nikalna fundamental duty hae! Hume Honourable Supreme court
se appeal karni chahiye ke wo constitution ke provisions ke sahi meanings
bataye aur ye tay kare ke kya mehengi parades constitution ke hisaab aur time
ki zarurat ke hisaab in dono ke hisab se sahi hae?
Boht zyada paisa kharch kiya jaata hae aur both sari
security ka bandobast karna padhta hae jiska kharch bhi kaafi hota hae sirf do/
tin ghante ki parade par, jise ab log DD Channel par dekhte bhi nahi hae, ye
sab sahi nahi hae, tab jabke hamara mulk dusre mulko se both piche hae, jaise
ke: GDP, GNP, HDI, Gini waghaera ke ranks me.
Sirf ek riwaaj bana kar itna celebration karna sahi nahi
hae, jabke hamare samne both lamba rasta abhi tay karna baqi hae, aur hum pehle
hi both piche rahe hae 1950 se le kar aaj tak. Dusre mulk bhi mehengi parade
nikalte hae aur unke paas bhi apni serious problem hoti hae. Hamari parade to
unke barabar ki hoti hae par kya unke problems hamare problems ke barabar hae?
Kaash koi aesi sarkar aaye jo parade ko khatam kare jisme boht
paisa saath hi saath uski security par bhi both paisa kharch ho jata hae, jisse
aam Indian ki life bhi nahi sudharti. 1950 se aaj tak hume kaha pohoch jana
chahiye tha aur hum kaha reh gaye, ab hamare liye aesi parade par kharcha karna
band kar dena hi sahi hae.
Kaash koi aesi sarkar aaye jo is natije par pohche ke hume
saal dar saal bade bade developments gift dene chahiye Mulk ke logo ko naaki
parade. Kaash koi aesi sarkar aaye jo is natije par pohch sake ke itni zyada
daulat sirf parade ke upar aur uski security ke upar kharch karne se acha
developments par kharch ki jaye to jo manzil India ka Qanun batata hae uski
taraf ek acha qadam hoga.
Kaash koi aesi sarkar aaye jo hume apne time ke best
hospitals bana kar dey sake wo bhi mulk ke pichde hue ilaqo me jaese ke North
East India, Republic day ke gift me saal dar saal. Kaash koi aesi sarkar aaye
jo best medical, engineering, IT, agricultural, law colleges aur universities
bana kar dete rahe Republic day gift me saal dar saal.
Kaash koi aesi sarkar aaye jo power stations, airports, sea
ports, manufacturing zones aur corporate parks banaye, koi aesi sarkar jo naye
naye highways, railways, stations gifts dey Republic day ke din. Kisi bhuke
insaan ko uski birthday ke din phugge aur patahko ka gift nahi chahiye hota hae
ose roti chahiye hoti hae, bhuke insaan ke liye roti se acha birthday gift ho
hi nahi sakta.
Kaash koi aesi sarkar ho jo ye samjhe ke zarurat se zyada
development sirf bade shehro me hi karte rahne se bade shehro ki aabaadi badh jaati
hae, aur ye bhi samajh sake ke development agar pichde ilaqo me kiye jaye to
pore India ka development ho sakega.
Bolna boht aasan hae, par itna paisa aayega kaha se? Jo
paisa mehengi parade aur parade ki security par kharch kiya jata hae ose
development me liya jaa sakta hae. Koi keh sakta hae ke jis development ki baat
ki jaa rahi hae osse both sasta hi hota hae ye parade nikal lena, magar jitne paiso
me ye parade nikali jati hai aur unki security ki jati hae utne paiso me jitna
development ho sakta hae utna to kiya jaa sakta hae. Yaqinan sirf das saal tak,
saal dar saal agar hum aesa karne me qamyaab ho gaye to India ek alag hi mulk
ban jaaye ga.
Apne hi mulk me apna ki jhanda lagana koi mehenga kaam nahi
hae. Ek simple function me President aur Governors Jhanda faeraye to ye both
achi baat hogi aese waqt me jab humare samne boht se zaruri kaam karne abhi tak
baqi hi hae.
Kaash koi aesi sarkar aaye jo aesa kuch soch sake.
In English: Put an end to 26th January’s Republic Day parade!
In English: Put an end to 26th January’s Republic Day parade!
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete