Wednesday, 2 October 2013

Bharat ki zarurat ‘fast track nyaay’ hae naaki ‘fast track adalat’

Humne nyayprakriya me kranti laakar kuch khaas fast track adalato ki sthapna ki, jo apne faesle do ya teen saalo me dete hae. Jabke hamari aam adalato me maamle dashako tak chalte hae tab kahi faesle aate hae. Bade bade maamle dashako tak latke rehte hae agar saalo ki baat na ki jaye to, biis saalo baad faesla aana koi achamba nahi hae, balke oose jaldi aaya hua faesla mana jata hae. Das saalo ki qanuni ladayi bilkul aam baat hae.

In sab wajah ke tehet hume fast track adalato ki sthapna karni padi, jaise ke sab ko pata hae ke ye adalate do ya tiin salo me faesla sunati hae. Chalo inki sthapna ko Bharat ke sanwidhan ki rauwshni me dekha jaaye; hamara sanwidhan vibhinn prakaro ke bhedbhaao se rokta hae. Kya aqalmandi fast track adalato ki sthapna ko bhedbhao nahi manegi? Kyuke hamare paas pehle se hi prakriya maujood thi, Sanwidhan ke kis nirdesh anusar humne kuch hi adalato par faesla sunane ke liye samay sima niyamit ki, jabke humne baaki adalato ko adalati traffic jam me rehne diya hae? Kya ye bhedbhao nahi hae?

Samasya ka behtar qanuni hal to ye hota ke kuch hi fast track court banane se acha tha ke hum kuch aese pravidhan laate jinse puri ki puri kanuni prakriya me hi tezi laayi jaa sake. Us se nyaay ka asal matlab ujagar hota agar hamari puri adalati pranali me tezi laayi jaati. Kisi ped ki puri ki puri pragati oose khubsurat aur aakarshak banaati hae naaki kuch daliya haribhari ho aur pura ka pura ped patjhad me dikhayi de raha ho. 


Humari zarurat puri ki puri nyaay pranali puri ki puri adalati pranali kohi fast track bana dena hae, naaki kuch khas fast track court ki sthapna. Har adalat har nyayalay fast track honi chahiye. Har ek qanuni qalam me uspar banaye gaye maamlo par kitne dino, mahino aur saalo me faesla aa jana chahiye ye maryadit aur ghoshit hona chahiye. Warna aesahi hae ke ped ki kuch daliya to haribhari hae jabke pure ped se patjhad ka sandesh aa raha hae. Bharat ke Maanniya Ucchatam Nyaaylaya ko is maamle me vichar karna hoga.

Angrezi me: India needs ‘Fast Track Judiciary’ and not ‘Fast Track Courts’

Part 2: Samay Simit Nyaay Pranaali, Bharat Ki Zarurat!

No comments:

Post a Comment